Showing posts with label Hindi Poetry. Show all posts
Showing posts with label Hindi Poetry. Show all posts

Friday, October 25, 2013

Pyala Zindagi Ka !... (A cup of life)

Ek barash aur beet gaya
payala jeevan ka kuchh aur reet gaya...

Badhti hui apadhapi me,
jeevan ki khidki me
takajhanki ka ab waqt kahan ...

Hai saanwli si raat, chand bhi to aspas hai
par ab us chandni ka sparsh kahan...

Hai baawli si zindagi, khud ko bhi baawla kr liya,
par ab us baawlepan me vo mithas kahan ...

Vo jo baha karte the rukhsaaro se,
ab vo ashk kahan...

Saghan hain sitare, sath saare ke saare
duayein aj bhi hain baaki
par kisi sitare ke tootne ka ab sabra kahan  ...

Ek baras aur beet gaya,
jeevan ka pyala kuch aur reet gaya


Aaj usko nahi paya, kal tumko khoya tha
gham ye aksar jeevan me sabko hota hai

Vo jo krte the yaad un tamaam yadoon ko
ab us yaad ko yaad krne ki yaad kahan...

Kya khoya tha aur kitna pana hai ab ke varas
badti rehti hai waqt dar waqt jeevan me havas...

Vo jo kehte the, duayein saari such hongi,
un duadaaron ki ab kadra kahan ...

Ek varas aur beet gaya
jeevan ka pyala kuchh aur reet gaya...

Punchhe, jo koi agar mujhse ki kya naaz hai?
kahunga, ki meri rooh bhi zinda aaj hai !!!...






Saturday, April 13, 2013

Badalta Mausam ... sardi se garmi ki ore

Badla hai mausam hawaon ke sath
sheetalta pawan ki , aaj kuch to hai khas,

Nahi nikalta kanth se dhunaa,
shayad samapt ho gayin lakdiyan jinme thi aag,

Kapde bhi ho gaye chhote
aur ab log der tak nahi sote,

Chay coffee ki jagah bhaane laga sharbat barf ke sath,
chhote chhote din ho gaye bade tanhaiyon ke sath

Lagne laga thanda paani amrit ke samaaan
rajai ki jagah raate me chaand ki sheetalta sehlaane lagi

Heater ki jagah cooler ne le li
aur barfili hawao ki jagah loo ne le li

Prithvi ne kiya bhraman is chhor se us chhor
aur badh chale hai hum sab ek naye mausam ki ore....

                       
                                                                                                      -  March end 2007 (from archive)