Friday, October 25, 2013

Pyala Zindagi Ka !... (A cup of life)

Ek barash aur beet gaya
payala jeevan ka kuchh aur reet gaya...

Badhti hui apadhapi me,
jeevan ki khidki me
takajhanki ka ab waqt kahan ...

Hai saanwli si raat, chand bhi to aspas hai
par ab us chandni ka sparsh kahan...

Hai baawli si zindagi, khud ko bhi baawla kr liya,
par ab us baawlepan me vo mithas kahan ...

Vo jo baha karte the rukhsaaro se,
ab vo ashk kahan...

Saghan hain sitare, sath saare ke saare
duayein aj bhi hain baaki
par kisi sitare ke tootne ka ab sabra kahan  ...

Ek baras aur beet gaya,
jeevan ka pyala kuch aur reet gaya


Aaj usko nahi paya, kal tumko khoya tha
gham ye aksar jeevan me sabko hota hai

Vo jo krte the yaad un tamaam yadoon ko
ab us yaad ko yaad krne ki yaad kahan...

Kya khoya tha aur kitna pana hai ab ke varas
badti rehti hai waqt dar waqt jeevan me havas...

Vo jo kehte the, duayein saari such hongi,
un duadaaron ki ab kadra kahan ...

Ek varas aur beet gaya
jeevan ka pyala kuchh aur reet gaya...

Punchhe, jo koi agar mujhse ki kya naaz hai?
kahunga, ki meri rooh bhi zinda aaj hai !!!...






No comments:

Post a Comment