Monday, April 23, 2012

Jana to tum dekar jana...Yaadein meethi meethi...!

Kabhi jana pade jo door mujse,
dekar jana yaadein meethi meethi..

yun gumsum se kabhi na rehna,
milte rehna dilse...


badlega ye mausam bhi
aur badlega har dil bhi,

Par apne dil kabhi na rakhna
mujse pare jara bhi...


Duniya badhti jayegi, log naye aayenge
aur Dil ko bharte jayenge,

Par tm dil me jagah na kam karna,
yun mere liye kabhi bhi...


Ladna kabhi jhagdna kabhi,
par dil se door na jana,
yun tanha karke kabhi bhi...


Waqt gujarta jayega
aur rishta gehrata jayega,

Kal  jab jana door kahin tum,
to dekar jana yadein meethi meethi...

Haan  bas tum dekar jana                 yaadein meethi meethi....

No comments:

Post a Comment