Wednesday, December 21, 2011

Bhaag daud...a stressfull life

Jeevan ki ye bhaag daud,
kahin vyarth na ho jaye

jo kar rahe hai,ek karke din rat
kahi khatam uska arth na ho jaye

kyu mann ko chhodkar,
dhan ke peeche bhag rahe hain sab
andhi daud ye kahin langda na kar jaye

sab kuch pane ki chah me
kahin insaan khud ko hi na kho jaye

pata ni kisi ko,
kya hai such aur kiska arth hai jhut

kahi naqabon ki oat me
insaan apna asli chehra hi na bhul jaye

aur dikhane me usko kahi koi
aaina bi samarth na paye

kahin jeevan ki ye bhaag daud
vyarth na ho jaye
vyarth na ho jaye......

10:55,17 july,2011

No comments:

Post a Comment